Friday, 6 April 2018

Kya Hai Zindagi, Eik Ladki Ki Zindagi!

                 Kya Hai Zindagi, Eik Ladki Ki Zindagi!
                                       


Kaisi hai ye Zindagi, Kya yahi hai Eik Ladki ki Zindagi!

Bhul kar bhi koi bhool ho jaye Ladkiyon se 
To nhi mante hai use log nadani ya bhool
Agar Ladkon se ho chahe kitni hi bhool
Wo hoti hai unko maafi k layek Qubool

Eik Maa! bhi jo aurat hai
Unka bhi hota hai Beton ke liye pyar sara
Betiyon ke liye hai bas kitchen
Kehta hai ye Jahan sara

Kaisi hai ye Zindagi, Kya yahi hai Eik Ladki ki Zindagi!

Beton ko zarurat nhi kuch sikhne ki
kyonki wo hai Khandan ka dhan
zarurat hai betiyon ko sikhne ki
kyunki wo hai eik prayadhan

Beta Agar hota hai sona to 
Chandi hoti hai Betiyan
Beta Agar krta hai raushan eik khandan ko
to do-do Khandan ko raushan krti hai betiyan

Kaisi hai ye Zindagi, kya yahi hai Eik Ladki ki Zindagi!

Apne hi ghar me Ajnabi ki tarah rehna
Dusro k ghar jate hi Ajnabi ko apna bana lena
Jinki ungli tham kar chalna sikha
Unhone hi sikhaya, kehna hame prayadhan

Jinse juda ho kuch waqt pahle rista
sir jhuka kar krna padta hai 
Qubool unka har faisla

Kaisi hai ye Zindagi, Kya yahi hai Eik Ladki ki Zindagi!

Jaha guzare hai Bazhpan ke wo 20 saal
Wo ghar ko nhi keh sakte hai apna
jis Ghar se juda ho kuch waqt pahle rishta
Us Ghar ko banana parta hai sansar apna

Pahle Maa-Baap ka Ghar, Phir Shauhar ka ghar, 
Phir Bachhon ka Ghar
Jane kaha hota hai Ladkiyon ka Asal Ghar

Kaisi hai ye Zindagi, Kya yahi hai Eik Ladki ki Zindagi!

20-22 saal hote hi barhne lagta hai 
Maa-Baap ka bojh kandho ka
kunke barhne lagta hai dabaon walden par 
Padosiyo aur Rishtedaro ka

Eik halki si chot pr bhi 
Aa jate the jinki Aankho me aansoo
Wahi swanp ke hatho me dusro ko apni Beti
Jane kaise reh pate hai woh 
Par kya kare yhi reet hai Duniya ki 
Hoti hai mazbooriyan Farz ki

Kaisi hai ye Zindagi, Kya yahi hai Eik Ladki ki Zindagi!

Baad Nikah Apno ki hi Aankho me Ajnabipan dekhna
Phir aakhir kis se ummid kare apno ki ye ladkiyan
Yun to woh keh nhi pate hai Ajnabi
Par baad Shadi milte hai apne, aise jaise hai wo Ajnabi
Chah kar bhi Shadi se door nhi ho sakti hai ladkiyan
Kyunki hoti hai Islam ke hantho majboor ladkiyan

Kya yahi hai Zindagi, Eik ladki ki Zindagi!

No comments:

Post a Comment