Monday, 17 December 2018

Zaroori Hai

                                   Zaroori Hai


Aansoo ko rokna zaroori tha
Par uska ab beh jana bhi zaroori hai,

Kuch baton ko dil me chupana zaroori tha
Par kuch ko ab byan karna bhi zaroori hai,

Dard ko chupana zaroori tha
Par khushiyon ko ab byan karna bhi zaroori hai,

Kuch rishtey toot jate hai
Par kuch rishton ka ab jud jana bhi zaroori hai,

Kuch se door jana zaroori tha
par kuch ke ab gale lag jana bhi zroori hai,

Zindagi me hai musibatey bahut
Par zindagi jena bhi zaroori hai

Saturday, 4 August 2018

Rang-e-Zindagi

Dosti jab kisi se ki jaye,
Dushmano ki bhi rah li jaye.

Maut ka zahar hai fizaon mein,
Ab kha ja ke sans li jaye.

Bas isi sonch mein duba hua,
ke manzil pe kaise pahucha jaye.

Mere maji ke zakhm bharne lage,
Aaj phir koi bhul ki jaye.

Bahut jiya dar-dar ke ,
Ab dil khol ke jiya jaye.

Thursday, 19 April 2018

Betiyan: Insan ya khilona???

Nirbhaya ho ya Asifa
Hai to ye sbhi hi Ladkiyan
Hai to ye bhi kisi ki Betiyan

Kyun nhi diya ja rha hai Gunahgaro ko saza
Kyu kiya ja rha hai logon ko Qaumo ke naam pe Gumrah

Jo karte hai aisa ghinoana kaam,
use janam dene wali bhi Eik aurat hai
Phir wo log ye bat kyu bhool jate hai,
jiska rape karte hai wo bhi to Eik aurat hai

Kya netaon ki nahi hai Betiyan
Phir bhi kyu ekhteyar kiye hoye hai,
                      itni Khamoshiyan

8 saal ki Bachhi ke sath kiya jisne bhi aisa
kya yahi hai insaaniyat ki pehchan???

kyu nahi dekh sakte ladkiyon ko aage badhta hua
kya isiliye sab dekh rahe hai ladkiyon ko roz marta hua???

Kehna hai logon ka
pahanti hai ladkiyan short
"karti ho logon ko attract"
Fir 8 saal ki bachhi k bare me kahe kya
jo rehti hai sab bato se anjan 
fir bhi ho jati hai rape ka shikar

Pahle Betiyon ko Janam dene se pahle hi maar diya jata tha
Shadi ke baad dahez na lane ki wajah se unhe jala diya jata tha
Zamana badla, parhaya gya ladkiyon ko
logon ki soch badli, kya khatam dahez partha ko
phir bhi na bacha sake ham desh ki betiyon ko
kyu ki darindo ne bana liya hai apna Eik rape partha
aur aaye din bemaut maarti hai asifa jaisi ladkiyan
aaj bhi ladkiyan ho rahi hai dafan
darindo ke hatho katal, aur pehan leti hai kafan

Ladkiyon ke education ke bare me sochti hai hamari sarkar, 
                                             sochti hai Talaq ke bare me
fir kyu nahi sochti hai wo Asifa jaisi 
                                  hazaron ladkiyon k Insaf ke bare me

Ladkiyan bachengi tabhi to insaf lengi talaq ke mudde par
shadi ke bad ladkiyon ko jahez ke naam par jala dete hai
aur masoom bachho ko ye apni hawas ka shikar bana lete hai

Wada to tha "Make in India"
Par afsos ye ban ke reh gaya "Rape in India"

Mai pochti hu Desh ki sarkar se 
"Kaha jaye ye ladkiyan
Kaise jiye ye Ladkiyan"

Friday, 6 April 2018

Kya Hai Zindagi, Eik Ladki Ki Zindagi!

                 Kya Hai Zindagi, Eik Ladki Ki Zindagi!
                                       


Kaisi hai ye Zindagi, Kya yahi hai Eik Ladki ki Zindagi!

Bhul kar bhi koi bhool ho jaye Ladkiyon se 
To nhi mante hai use log nadani ya bhool
Agar Ladkon se ho chahe kitni hi bhool
Wo hoti hai unko maafi k layek Qubool

Eik Maa! bhi jo aurat hai
Unka bhi hota hai Beton ke liye pyar sara
Betiyon ke liye hai bas kitchen
Kehta hai ye Jahan sara

Kaisi hai ye Zindagi, Kya yahi hai Eik Ladki ki Zindagi!

Beton ko zarurat nhi kuch sikhne ki
kyonki wo hai Khandan ka dhan
zarurat hai betiyon ko sikhne ki
kyunki wo hai eik prayadhan

Beta Agar hota hai sona to 
Chandi hoti hai Betiyan
Beta Agar krta hai raushan eik khandan ko
to do-do Khandan ko raushan krti hai betiyan

Kaisi hai ye Zindagi, kya yahi hai Eik Ladki ki Zindagi!

Apne hi ghar me Ajnabi ki tarah rehna
Dusro k ghar jate hi Ajnabi ko apna bana lena
Jinki ungli tham kar chalna sikha
Unhone hi sikhaya, kehna hame prayadhan

Jinse juda ho kuch waqt pahle rista
sir jhuka kar krna padta hai 
Qubool unka har faisla

Kaisi hai ye Zindagi, Kya yahi hai Eik Ladki ki Zindagi!

Jaha guzare hai Bazhpan ke wo 20 saal
Wo ghar ko nhi keh sakte hai apna
jis Ghar se juda ho kuch waqt pahle rishta
Us Ghar ko banana parta hai sansar apna

Pahle Maa-Baap ka Ghar, Phir Shauhar ka ghar, 
Phir Bachhon ka Ghar
Jane kaha hota hai Ladkiyon ka Asal Ghar

Kaisi hai ye Zindagi, Kya yahi hai Eik Ladki ki Zindagi!

20-22 saal hote hi barhne lagta hai 
Maa-Baap ka bojh kandho ka
kunke barhne lagta hai dabaon walden par 
Padosiyo aur Rishtedaro ka

Eik halki si chot pr bhi 
Aa jate the jinki Aankho me aansoo
Wahi swanp ke hatho me dusro ko apni Beti
Jane kaise reh pate hai woh 
Par kya kare yhi reet hai Duniya ki 
Hoti hai mazbooriyan Farz ki

Kaisi hai ye Zindagi, Kya yahi hai Eik Ladki ki Zindagi!

Baad Nikah Apno ki hi Aankho me Ajnabipan dekhna
Phir aakhir kis se ummid kare apno ki ye ladkiyan
Yun to woh keh nhi pate hai Ajnabi
Par baad Shadi milte hai apne, aise jaise hai wo Ajnabi
Chah kar bhi Shadi se door nhi ho sakti hai ladkiyan
Kyunki hoti hai Islam ke hantho majboor ladkiyan

Kya yahi hai Zindagi, Eik ladki ki Zindagi!

Tuesday, 13 February 2018

For LOVERS

Mujhe pta nhi mai kitna pyar karti hu usse
Bas itna pta hai ki eik anjana sa ehsas hai
    mere ander uske liye

Mujhe pta nhi wo kya hai kis religion ka hai
Bas itna pta hai uska naam kya hai

Mujhe nhi janna ki wo karta kya hai, rehta kha hai
Bas itna pta hai ki mera Dil dharakta hai sirf uske liye

Pta nhi wo mere liye Tarapta hai ya nhi
Bas itna pta h mai khud ko usse juda nhi kr sakti

Pta nhi wo meri taqdeer ban payega ya nhi
Bas itna pta hai kya pta wo mujhe mil jaye 
     kisi chaurahe ya kisi gali ke mod pe